Haven't opened my blog after moving out from bangalore. :) There were so many things to write about after i came to mumbai, but i was never in the mood. Thought will post the poems from the movie 'Udaan' which i found beautiful :)
Chhoti-chhoti chhitrayi yaadein
Bichhi hui hain lamhon ki lawn par.
Nange pair unpar chalte-chalte
Itni door chale aaye
Ki ab bhool gaye hain –
Joote kahan utaare the.
Aedi komal thi, jab aaye the.
Thodi si naazuk hai abhi bhi.
Aur nazuk hi rahegi
In khatti-meethi yaadon ki shararat
Jab tak inhe gudgudati rahe.
Sach, bhool gaye hain
Ki joote kahan utaare the.
Par lagta hai,
Ab unki zaroorat nahin.
_____________________________________________
Jo lehron se aage nazar dekh paati toh tum jaan lete main kya sochta hoon,
Wo aawaz tumko bhi jo bhed jaati toh tum jaan lete main kya sochta hoon.
Zid ka tumhare jo parda sarakta toh khidkiyon se aage bhi tum dekh paate,
Aankhon se aadaton ki jo palken hatate toh tum jaan lete main kya sochta hoon.
Meri tarah khud par hota zara bharosa toh kuchh door tum bhi saath-saath aate,
Rang meri aankhon ka baant-te zara sa toh kuchh door tum bhi saath-saath aate,
Nasha aasmaan ka jo choomta tumhe bhi, hasraten tumhari naya janm paatin,
Khud doosre janam mein meri udaan chhoone kuchh door tum bhi saath-saath aate.
_____________________________________________
No comments:
Post a Comment